Lal Ghoda Ruka rahe.
Kala Ghoda Bhagta Jaye
Batao Kaun?
.
.
.
Answer: Aag/Dhua
Lal Ghoda Ruka rahe.
Kala Ghoda Bhagta Jaye
Batao Kaun?
.
.
.
Answer: Aag/Dhua
Aisa kya hai
Jiska aana bhi kharab aur jana bhi kharab
.
.
.
Answer: Ankh (aana – Netrashoth or Conjuctivities) (jaana eyesight)
Bujho Bhaiya Ek Paheli
Jab Kaato to Nai Naveli?
.
.
.
Answer: Pencil
Kali hai par Kaag Nahi
Lambi hai par Naag Nahi
Balkhati hai par Dor Nahi
Bandhte hai par Dor Nahi
Batao Kya?
.
.
.
Answer: Choti
Somvaar ka din tha 2 chor bank loot kar ek car mai bhaage
Police ne choro ka peecha kiya
Peecha karne par pata chala ki choro ki car ke peeche ki number plate ki lights’ kharaab thi
Aur Police ki Jeep ki head lights kharaab thi
Batao police ne un choro ko kaise pakda?
.
.
.
Answer: Somvaar ka Din Tha. Din me Light ki jarurat nahi hoti.
Kali Kali Maa
Laal Laal Bache
Jidar Jaye Maa
Udhar Jaye Bache
Batao Kya?
.
.
.
Answer: Train
Dhoop dekh main aa jau
Chaav dekh sharma Jau
Jab hawa kare mujhe sparsh
Mai usme sama jau
Batao Kya?
.
.
.
Answer: Pasina
Aise kon se cheez hai
Jise jitna khicho vo utni hi
Choti hoti hai?
.
.
.
Answer: Biddi and Cigarettes
Kala Ghoda
Safed ki sawari
Ek utra to dusre ki bari?
.
.
.
Answer: Tava aur Roti
Dunia bhar ki karta sair
Dharti pe na rakhta pair
Din me sota raat me jagta
Raat andheri meri bagair
Jaldi batao main hoon kaun?
.
.
.
Answer: Moon(Chaand)