Zindagi Apne App Mein hi Ik Nasha Hai
Arey Ladkhada ke Jeene mein Kya Maza Hai
Month: May 2015
Bulbulo ke Pankho mein bandhe hue kabhi Baaz
Bulbulo ke Pankho mein bandhe hue kabhi Baaz nahi rehte
Buzdilo aur Kayaro ke Haath Kabhi Raaz Nahi Rehte
Ser Jhuka ke Chalne ki aadat pad jaaye jis Insaan Ko
Us Insaan ke Ser Per Kabhi Taaj Naahi Rehte
Haadso ke Shehar Mein Haadso Se Darta Hai
Haadso ke Shehar Mein Haadso Se Darta Hai
Mitti Ka Khilona Hai Fanaa Hone Se Darta Hai
Mere Dil ke Kone Mein Masoom Sa Bachaa
Bado Ki Dekh Ke Ye Duniya Bada Hone Se Darta Hai
Andhera Bahut Ab Suraj Nikalna Chahiye
Andhera Bahut Ab Suraj Nikalna Chahiye
Jaise Bhi Ho Ye Mausam Badalna Chahiye
Aur Jo Chehre Roz Badalte hai Naqabo Ki Tarah
Ab Janaza Dhoom Se Unka Nikalna Chahiye
Naa Jaane Kaun Sa Haadsa Akhbaar Mein Aa Jaaye
Naa Jaane Kaun Sa Haadsa Akhbaar Mein Aa Jaaye
Naa Jaane Kaun Sa Sikka Baazar Mein Aa Jaaye
Arrey Chor Uchakko K Saath Bhi Dosti Karlo Yaaro
Na Jaane Kaun Kal Sarkar Mein Aa Jaaye
Mushkil Raahon Mein Bhi Aasan Safar Lagta hai
Mushkil Raahon Mein Bhi Aasan Safar Lagta hai
Shayad Ye Meri Maa Ki Duauo ka Asar Lagta hai
Kuch Manzilo k Mukaam Nahi hote
Kuch Manzilo k Mukaam Nahi hote
Kuch Rishto k Naam Nahi hote
Pata Hote Kuch Savaalo k Jawab
Toh Sabh Itne Pareshan nahi Hote
Haadso Ke Shehar Mein Haadso Se Darta Hai
Haadso Ke Shehar Mein Haadso Se Darta Hai
Mitti Ka Khilona hai Fanaa Hone Se Darta Hai
Mere Dil k kisi kone mein Ek Masoom Sa Bacha
Bado ki dekh k ye Duniya Bada Hone se Darta Hai
Kuch Toh Rahi Hongi Inki Bhi Majburiyan
Kuch Toh Rahi Hongi Inki Bhi Majburiyan
Yun Chah k koi Bewafa Naahi Hota
Kadam Yun hi Dagmaga gaye Raaste mein
Kadam Yun hi Dagmaga gaye Raaste mein,
Varna Sambhalna Hum Bhi Jaante The,
Thokar Bhi lagi toh Uss Pathar se,
Jise Hum Apna Maante The..