Humko Uthna To Munh Andhere Tha
Lekin Ik Khwab Humko Ghere Tha
Category: Javed Akhtar
Javed Akhtar 2 Lines Shayari – Gin-Gin Ke Sikke Hath Mera Khurdura Hua
Gin-Gin Ke Sikke Hath Mera Khurdura Hua
Jaati Rhi Vo Spars Ki Narmi, Bura Hua.
Javed Akhtar 2 Lines Shayari – Ai Safar Itna Bekaar To Na Ja
Ai Safar Itna Bekaar To Na Ja
Na Ho Manzil, Kahin To Pahuncha De
Javed Akhtar 2 Lines Shayari – Aaj Ki Duniya Mein Jeene Ka Kareena Samjho
Aaj Ki Duniya Mein Jeene Ka Kareena Samjho
Jo Mile Pyar Se Un Logo Ko Zeena (Ladder) Samjho
Javed Akhtar 2 Lines Shayari – Apni Vajahe-Barbaadi Suniye To Maje Ki Hai
Apni Vajahe-Barbaadi Suniye To Maje Ki Hai
Zindagi Se Yoon Khele Jaise Dusre Ki Hai
Javed Akhtar 2 Lines Shayari – Sab Ka Khushi Se Faasla Ek Kadam Hai
Sab Ka Khushi Se Faasla Ek Kadam Hai
Har Ghar Mein Bas Ek Hi Kamra Kam Hai
Ghazal By Javed Akhtar – Ye tera ghar ye mera ghar kisi ko dekhana ho agar
Ye tera ghar ye mera ghar kisi ko dekhana ho agar
to pahale aake mang meri nazar teri nazar
ye ghar bahut hasin hai
na badalon ke chanv mein na chandani ke ganv mein
na phul jaise raste bane hainis ke vaste
magar ye ghar ajeeb hai zamin ke qaribhai
ye int pattharon ka ghar hamari hasaraton ka ghar
jo chandani nahi to kya ye roshani hai pyar ke
dilon ke phul khil gaye to fikr kya bahar ke
hamare ghar na aayegi kabhi khushi udhar ke
hamari rahaton ka ghar hamari chahaton ka ghar
yahan mahak vafaon ke hai qah-qahon ka arang hai
ye ghar tumhara khwab hai ye ghar meri umang hai
na aarzoo pe qaid hai na hausale par jang hai
hamare hausale ka ghar hamari himmaton ka ghar
Javed Akhtar 2 Lines Shayari – Meri Buniyaadon Mein Koi Tedh Thi
Meri Buniyaadon Mein Koi Tedh Thi
Apni Deewaron Ko Kya Ilzaam Doon
Ghazal By Javed Akhtar – Yahi halat ibtada se rahe
Yahi halat ibtada se rahe
log hum se khafa khafa se rahe
bevafa tum kabhi na the lekin
ye bhi sach hai ki bevafa se rahe
in chiragon mein tel hi kam tha
kyon gila phir hamen hawa se rahe
bahas, shatranj sher mausiqi
tum nahi rahe to ye dilase rahe
usake bandon ko dekhakar kahiye
hamako umeed kya khuda se rahe
zindagi ke sharab mangate ho
hum ko dekho ki pi ke pyase rahe
Inspirational Shayari by Javed Akhtar
Aap Bhi Aaye, Hum Ko Bhi Bulate Rahiye,
Dosti Jurm Nahi, Dost Banate Rahye,
Jahar Pe Jaye Aur Batye Amrit Sabko,
Jakam Bhi Khaye Aur Geet Bhi Gate Rahiye,