Ghazal By Urdu Poet Waseem Barelvi – Mujhe bujhaa de

Mujhe bujhaa de, meraa dard mukhtasar* kar de
Magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar* kar de

mukhtasar : Kam (shorten), mo’atbar : bharose ke laiq (trustworthy)

Meri talaash ko be-naam-o-be-safar kar de
Main teraa raastaa chhoruuN to dar-ba-dar kar de

Judaaiyon ki ye raaten to kaatni hongi
Kahaaniyon ko koi kaise mukhtasar kar de

Tere khayaal ke haathon kuch aisaa bikhraa hun
Ke jaise bachchaa kitaaben idhar-udhar kar de

Main apne khwab se bichada nazar nahi aata – Wasim Barelvi

main apne khwab se bichada nazar nahi aata
tu is sadi mein akela nazar nahi aata

ajab dabav hai in bahri hawaon ka
gharon ka bojh bhi uthta nazar nahi aata

main ek sada pe hamesha ko ghar chod aaya tha
magar pukarane vala nazar nahi aata

main teri reh se hatane ko hat gaya lekin
mujh to koi bhi rasta nazar nahi aata

dhuan bhara hai yahan sabhi ke aankhon mein
kisi ko ghar mera jalta nazar nahi aata

Ghazal By Wasim Barelvi – Aate aate mera naam saa reh gaya

Aate aate mera naam saa reh gaya
Us ke honton pe kuchh kanpta reh gaya

Wo mere samne hi gaya aur mein
Raste ki tarah dekhta reh gaya

Jhooth waale, kahin se kahin badh gaye
Aur mein tha ke sach bolta rehgaya

Aandhiyon ke irade to achchhe n the
Ye diya kaise jalta huwa reh gaya?


Mein is ummid pe dooba ke tu bacha lega – Urdu Shayari by Waseem Barelvi

Mein is ummid pe dooba ke tu bacha lega
Ab is ke baad mera imtehaan kya lega

Ye ek mela hai, wada kisi se kya lega
Dhalega din to har ek apna rasta lega

Mein bujh gaya to hamensha ko bujh hi jaunga
Koi charagh nahin hun jo phir jalaa lega

Kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
Jo be-amal ho wo badla kisi se kya lega

Hzaar tod ke aa-jaaun usse rishta “Waseem”
Mein jaanta hun, wo jab chahega bula lega


Ghazal By Wasim Barelvi – Zara sa qatara kaheen aj agar ubharata hai

Zara sa qatara kaheen aj agar ubharata hai
samandaron hi ke lahaje mein baat karta hai

khuli chaton ke diye kab ke bujh gaye hote
koi to hai jo hawaon ke par katarata hai

sharafaton ke yahan koi ahamiyat hi nahi
kisi ka kuch na bigado to kon darta hai

zamin ke kaisi viqalat ho phir nahi chalati
jab aasman se koi faisala utarata hai

tum aa gaye ho to phir kuch chandani si baten hon
zamin pe chand kahan roz roz utarata hai

Usulon pe jahan aanch aaye takarana zaruri hai – Shayari By Wasim Barelvi

usulon pe jahan aanch aaye takarana zaruri hai
jo zinda hon to phir zinda nazar aana zaruri hai
nai umron ke khudmukhtariyon ko kon samajhaye
kahan se bach ke chalana hai kahan jana zaruri hai
thake hare parinde jab basere ke liye laute
saliqamand shakhon ka lachak jana zaruri hai
bahut bebak aankhon mein ta’alluq tik nahi pata
muhabbat mein kashish rakhane ko sharmana zaruri hai
saliqa hi nahi shayad use mahasus karne ka
jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaruri hai
mere honton pe apni pyas rakh do aur phir socho
ki is ke bad bhi duniya mein kuch pana zaruri hai

Ghazal By Wasim Barelvi – Apne har ek lafz ka khud aainaa ho jaaunga

Apne har ek lafz ka khud aainaa ho jaaunga
Us ko chhota keh ke mein kaise bada ho jaaunga

Tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
Mein gira to mas’ala bankar khada ho jaaunga

Mujh ko chalne do, akela hai abhi mera safar
Raasta roka gayaa to qafila ho jaaunga

Sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
Ek tere kehne se kya main be-wafa ho jaaunga?


Urdu Shayari – Mujh Tak Mere Hisse Ki Dhoop Aane De

Apne saaye ko itna samjhaane de
Mujh tak mere hisse ki dhoop aane de

Ek nazar mein kai zamane dekhe to
Budhi aankhon ki tasveer banane de

Baba duniya jeet ke mein dikhla dunga
Apni nazar se door to mujh ko jaane de

Phir to ye uncha hi hota jaayega
Bachpan ke hathon mein chaand aajaane de

Faslen pak jaye to khet se bichhde gi
Roti aankh ko pyar kahan samjhane de

Mein bhi to is bagh ka ek parinda dun
Meri bhi aawaaz mein mujh ko gaane de

1 2