DilSeDilTak.co.in

Shayari, SMS, Quotes, Jokes And More....

Nida Fazli – Garaj baras pyaasi dharti par phir paani de maula

Garaj baras pyaasi dharti par phir paani de maula
Chidiyon ko dana bachhon ko guddhani de maula

Do aur do ka jod hamesha chaar kahan hota hai
Soch samajh waalon ko thodi naadani de maula

Phir roshan kar zaher ka pyaala chamkaa nayee saliben
Jhoothon ki duniya mein sach ko taabaani de maula

Phir moorat se baahar aakar chaaro or bikhar ja
Phir mandir ko koi meera deewani de maula

Tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyon ho
Jeene waalon ko marne ki aasani de maula

Leave a Reply

DilSeDilTak.co.in © 2015