Mana Ki Pyaar Kisi Ka Mere Paas Nahi;
Magar Tumhein Bhi Mohabbat Ka Ehsaas Nahi;
Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham-E-Aansu;
Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi!
Tag: 4 lines in urdu
Hindi Shayari In Four Lines – Pehli Mohabbat Thi Hamari, Hum Jaan Na Sake
Pehli Mohabbat Thi Hamari, Hum Jaan Na Sake;
Pyaar Hota Hai Kya Hum Pehchan Na Sake;
Humne Unhe Dil Mein Basaya Hai Iss Kadar Ki;
Chah Kar Bhi Hum Unhe Apne Dil Se Nikaal Na Sake!
Heart Broken Sad Hindi Poetry In 4 Lines – Zindagi Ka Har Zakham Uski Meharbani Hai
Zindagi Ka Har Zakham Uski Meharbani Hai;
Meri Zindagi To Ek Adhuri Kahani Hai;
Chahta To Mita Dete Har Dard Ko;
Magar Yeh Dard Hi To Uski Aakhri Nishani Hai!
Hindi Shayari In Four Lines – Pyaar Ne Yeh Kaisa Tohfa De Diya
Pyaar Ne Yeh Kaisa Tohfa De Diya;
Mujhko Ghamo Ne Pathar Bana Diya;
Teri Yaadon Mein Hi Kat Gayi Umar Sari;
Aur Main Logon Se Kehta Raha Ki Tujhe Kab Ka Bhula Diya!
Heart Broken Sad Hindi Poetry In 4 Lines – Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain
Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain;
Iss Tarah Judai Ka Gham Mita Lete Hain;
Kisi Tarha Zikar Ho Jaye Unko Hamare Dard Ka Agar;
Hans Kar Bheegi Palkon Mein Sab Dard Chupa Lete Hain!
Hindi Shayari In Four Lines – Raat Ki Dhadkan Jab Tak Jaari Rehti Hai
Raat Ki Dhadkan Jab Tak Jaari Rehti Hai;
Sotey Nahi Hum, Zimmedari Rehti Hai;
Jabse Tuney Halki Halki Baatein Ki;
Yaar Tabiyat Bhaari Bhaari Rehti Hai!
~ Rahat Indori
4 Lines Sad Shayari – Lipti Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat
Lipti Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat;
Woh Shakhs Ke Jis Ko Meraa Honaa Bhi Nahin Hai;
Yeh Ishq Mohabbat Ki Riwaayat Bhi Azab Hai;
Panaa Bhi Nahin Hai, Use Khonaa Bhi Nahin Hai!
4 Lines Sad Shayari – Main Bikhar Jaunga Zanjeer Kee Kadiyon Kee Tarah
Main Bikhar Jaunga Zanjeer Kee Kadiyon Kee Tarah;
Aur Reh Jayegi Iss Dasht Mein Jhankar Meri!
~ Zafar Iqbal
4 Lines Sad Shayari – Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota Hai;
Ab Ishq Kiya To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuch Hota Hai;
Aaghaz-E-Musibat Hota Hai Apne Hi Dil Kee Shaamat Se;
Aankhon Mein Phool Khilaata Hai Talvon Mein Kaante Bota Hai!
~ Hafeez Jalandhari
4 Lines Hindi Shayari – Khamosh Chehre Par Hazaaron Pehre Hote Hai
Khamosh Chehre Par Hazaaron Pehre Hote Hai;
Hasti Aankhon Mein Bhi Zakham Gehre Hote Hain;
Jinse Aksar Rooth Jaate Hai Hum;
Asal Mein Unse Hi Rishte Gehre Hote Hain!