(Tere sitam kee dastan kisko sunau mai
Tune diye jo jakhm woh kisko dikhau mai) – (2)
Abb aaise mod par hai meree jindagee jahan
Yeh bhee bahut hai agar tujhko bhul jaun mai
Tag: 4 lines shayari by altaf raja
Altaf Raza Songs Shayari – Tirath nahee hai jisame woh surat fijul hai
(Tirath nahee hai jisame woh surat fijul hai
Khushbu agar naa ho toh woh kagaj kaa phul hai) – (2)
Yeh dil kabhee naa dhadkega abb tere nam se
Teraa usul hai toh, meraa bhee usul hai
Altaf Raza Songs Shayari – Aisa lagata hai unhe ishq huwa hai hamase
Aisa lagata hai unhe ishq huwa hai hamase – (3)
Saamana hote hi najaro ko jhuka lete hain – (2)
Hamako uss waqt najar taajmahal aata hai – (2)
Jab woh angdaayi ko, haat apane utha lete hain – (2)
Altaf Raza Songs Shayari – Ishq jab had se paar ho jaayein
Ishq jab had se paar ho jaayein
Jindagi bekaraar ho jaayein
Kisi ke saath na kabhi aisa ho ya rab
Kisi ke pyaar ko kisi se pyaar ho jaayein
Altaf Raza Songs Shayari – koyi dil se bura nahi hota, nahi hota
koyi dil se bura nahi hota, nahi hota
Waqt jo bewafa nahi hota
Usake haalat bure hote hain – (2)
Aadami khud bura nahi hota
Altaf Raza Songs Shayari – Abhi aaye abhi baithe Abhi daman sambhala hai
Abhi aaye abhi baithe
Abhi daman sambhala hai
Tumhari jau jau ne
Hamara dam nikala hai
Altaf Raza Songs Shayari – Achha meree wafao kaa tune sila diya
(Achha meree wafao kaa tune sila diya
Yeh kya kiya ke khak me mujhko mila diya) – (2)
Surma samajh ke gair ko aankho me di jagah
Aansu samajh ke mujhko najaro se gira diya
Altaf Raza Hindi Poetry – Tu mera dil hai meri jaan mera yaar hai tu
Tu mera dil hai meri jaan mera yaar hai tu
Tu meri pehali mohabbat hai mera pyaar hai tu – (2)
Tune sau baar mere sar ki kasam khaayi hai
Main gunaahgaar hoon ya meri gunaahgaar hai tu
Altaf Raza Hindi Poetry – Aankhein hi na royi hai dil bhi tere pyaar mein roya hai
Aankhein hi na royi hai dil bhi tere pyaar mein roya hai – (2)
Hamane teri khaatir apana chain sukun bhi khoya hai
Altaf Raza Hindi Poetry – Kisase kahein kaise yeh kahein ke tu sajana harjaayi hai
Kisase kahein kaise yeh kahein ke tu sajana harjaayi hai – (2)
Tujhako toh koyi fark nahi honi apani ruswaayi hai
Khushoyon ka toh abb kaam nahi, bas chaaron taraf tanhaayi hai – (2)
Haay maar hi daala kyun na tha ji maut se buri judaayi hai
Kabhi jo apana kehati thi woh yaaron aaj paraayi hai – (2)
Haay dil lagaane ki saja kya khub maine paayi hai