Palko ko humne jab bhi jhukaya hai,
Bas ek hi khayal aaya hai,
Jis khuda ne tumhe banaya hai,
Tumhe dharti pe bhejke bhala wo kaise jee paaya hai…
Tag: a beautiful romantic shayari
Hindi Poetry To Appreciate Girlfriend – Kabhi HontoN Pe UngliyaN Kabhi
Kabhi HontoN Pe UngliyaN Kabhi
Girebann Kheenchna…
…..Un ka Andaz-e-Haq Jatana Hi
Bara Jaan leva Hai..!!
Hindi Poetry To Appreciate Girlfriend – Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai
Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai
Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai
Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe
Tabhi To Ek Chaand Pe Hazaaro Taaro Ka Pehra Hai…
Hindi Poetry To Appreciate Girlfriend – Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti
Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti,
Kaash Aapse Mulakat Hamaari Na Hoti,
Sapno Mein Hi Dekh Lete Hum Aapko,
To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti…
Gila Shikwa Poetry in 4 Lines – Fir Wahi Fasaana Afsaana Sunaati Ho
Fir Wahi Fasaana Afsaana Sunaati Ho
Dil Ke Paas Hoon Kah Kar Dil Jalati Ho
Beqaraar Hai Aatish E Nazar Se Milne Ko
To Fir Kyon Nahi Pyaar Jataati Ho…
Hindi Poetry To Appreciate Girlfriend – Aapki Aankhen Uchi Hui To Dua Ban Gai
Aapki Aankhen Uchi Hui To Dua Ban Gai
Neechi Hui To Haya Ban Gai
Jo Jhuk Kar Uthi To Khata Ban Gai
Aur Uth Kar Jhuki To Ada Ban Gai…
Hindi Poetry To Appreciate Girlfriend – Fiza mein mehakti sham ho tum
Fiza mein mehakti sham ho tum, Pyaar mein jhalakta jaam ho tum.. Sine mein chupaye phirte hai hum yaadein tumhari, Isiliye meri Zindagi ka dusra naam ho tum.
Hindi Poetry To Appreciate Girlfriend – Iltija Hai Bas Tujhe Paane Ki
Iltija Hai Bas Tujhe Paane Ki,
Aur Koi Hasrat Nahi Hai Tere Deewane Ki,
Shikva Mujhe Tujhse Nahi Khuda Se Hai,
Kya Zururat Thi Tujhe Itna Khubsoorat Banane Ki…
Very Romantic Love Poetry in 4 Lines – Tum mile har khushi mil gayi hai hame
Tum mile har khushi mil gayi hai hame,
Lagta hai ki dusri zindgi mil gayi hai hame.
Zindgi me Jiska tha saalo se intezar hame,
Vo khushi ki ghadi aaj mil gayi hai hame..
Very Romantic Love Poetry in 4 Lines – Yeh Dil Ho Gaya Tumhara
Yeh Dil Ho Gaya Tumhara,
Har Yaad Mein Ho Tum,
Pukarta Hai Tumhe,
Kyun Nahi Laut Aate Ho Tum.
Saansein Hain Chalti,
Har Saans Mein Ho Tum,
Tanha Ki Tanhaai Hai Roti,
Phir Bhi Khaamosh Ho Tum…