Hakeekat hai ke mar kar bhi, unhe hum yaad rakhenge,
Ye gulshan unki yaadoon ka sada aabaad rakhenge,
Mere saat unka waada hai, meri koi kabar na khode,
Meri us aakhri ghar ki wo khud buniyaad rakhenge.
Tag: Attaullah Khan 4 lines shayari
Shayari From Attaullah Khan’s Songs Lyrics – Meri lahed se ho jab guza
Meri lahed se ho jab guzar tera,
Kuch der zara tum ruk jaana,
Phir haath uthakar sang dil tum,
Aankhon se moti barsaana,
Phir kabar se lipat ke sadik ki,
Tum dil ka haal suna jaana
Shayari From Attaullah Khan’s Songs Lyrics – Mujh ko dafna kar jaayega
Mujh ko dafna kar jaayega jab wo thodi door zara,
Gir jaayenge aansoon uske jab wo haath uthayega..
Baandh liya hai kafan mein usne teri sab tehreeroonn ko,
Sadik rab ko jaakar tera ek ek khat dikhlaayega.
Shayari From Attaullah Khan’s Songs Lyrics – Pehli mohabbat mein khata
Pehli mohabbat mein khata kar raha hoon,
Kisi bewafa se wafa kar raha hoon,
Wo thukraaye to kya hua mere khuda,
Tu hi mila de tujh se dua kar raha hoon.
Shayari From Attaullah Khan’s Songs Lyrics – Muddat hui thi honth hama
Muddat hui thi honth hamare sile hue,
Kal shaam wo mile to unhi se gile hue,
Wo keh rahe hai dard jo baksha hai zeesth hai,
Jo zakhm de chuke wafa ke sile hue.
Shayari From Attaullah Khan’s Songs Lyrics – Raaste khud hi tabahi ke
Raaste khud hi tabahi ke nikale humne,
Kar diya dil kisi patthar ke hawale humne,
Hum ko maloom kya shaey hai mohabbat logoon,
Khud apna ghar phoonk ke dekhe hain ujale humne.
Attaullah Khan Sher O Shayari – Shukriya Umar aap ki nawazishon ka, Gam
Shukriya Umar aap ki nawazishon ka,
Gam ki daulat mujhe ata kar di,
Tu ne has has ke ibteda ki thi,
Maine ro ro ke inteha kar di.
Shayari From Attaullah Khan’s Songs Lyrics – Mere Kuch Dost Mujhe Yoon
Mere Kuch Dost Mujhe Yoon Bhi Sataane Aaye;
Khud Mujhe Mera Hi Afsaana Sunaane Aaye;
Din Ke Dhalte Hue Lamhon Ki Kiran Wo Lekar;
Mere Tareek-E-Muqaddar Ko Jagaane Aaye!
Attaullah Khan Sher O Shayari – Na jaane kyun tera milkar bichadna yaad
Na jaane kyun tera milkar bichadna yaad aata hai.
Main ro padta hoon jab guzra zamana yaad aata hai,
Nahi bhoola hoon main ab tak tujhe o bhoolne waale,
Bata tujh ko bhi kya mera fasana yaad aata hai,
Attaullah Khan Sher O Shayari – Cheraag ke noor par na jaao, Cheraag ki
Cheraag ke noor par na jaao,
Cheraag ki roshini na dekho,
Kisi patange ki badd-dua hai,
Wo zindagi bhar jala karega.