Ajeeb shakhs hai naraaz hoke hansta hai
Main chahta hoon khafa ho, to khafa hi lage
Tag: Best Shayari by Nida Fazli
Nida Fazli – Dene waale ne diya sab kuchh ajab andaaz se
Dene waale ne diya sab kuchh ajab andaaz se
Saamne duniya padi hai aur utha sakte nahin
Nida Fazli – Mil bhi jaate hai to katra ke nikal jaate hain
Mil bhi jaate hai to katra ke nikal jaate hain
Haay mausam ki tarah dost badal jaate hain
Hum abhi tak hai girftaar-e-muhabbat yaaron
Thokare kha ke suna tha ki sambhal jaate hain
Nida Fazli – Mujhse bichhad ke khush rahte ho
Mujhse bichhad ke khush rahte ho
Meri tarah tum bhi jhute ho
Nida Fazli – Kabhi hum bhi is ke kareeb the
Kabhi hum bhi is ke kareeb the, dilo jaan se badh ke aziz the
Magar aaj aese mila hai wo, kabhi pahle jaise mila na ho
Nida Fazli – Kuchh to majbooriyan rahi hongi
Kuchh to majbooriyan rahi hongi
Yoon koi bewafa nahin hota
Nida Fazli – Kuchh to majbooriyan rahi hongi
Kuchh to majbooriyan rahi hongi
Yoon koi bewafa nahin hota
Nida Fazli – Mohabbat mein wafadari se bachiye
Mohabbat mein wafadari se bachiye
Jahan tak ho adakari se bachiye
Har ek soorat bhali lagti hai kuch din
Lahoo ki shobda-kaari se bachiye
Sharafat aadmiyat dard mandi
Bade shehron mein beemaari se bachiye
Zaroori kya har ek mehfil mein aana
Takalluf ki rawadaari se bachiye
Bina pairon ke sar chalte nahi hain
Buzurgon ki samajhdaari se bachiye
Nida Fazli – Dushmani jam kar karo lekin ye gunjaaish rahe
Dushmani jam kar karo lekin ye gunjaaish rahe
Jab kabhi hum dost ho jaayen to sharminda na hon
Nida Fazli – Jis par humari aankh ne moti bichhaye raat bhar
Jis par humari aankh ne moti bichhaye raat bhar
Bheja wahi kaagaz humne likha kuchh bhi nahin