Aur kya dekhne ko baaki hai,
Aap se dil lagaa ke dekh liya …
Tag: Faiz Shayari
Faiz Ahmed Faiz Shayari Ghazal Lyric – Aap ki yaad aati rahi raat bhar
Aap ki yaad aati rahi raat bhar,
chandani dil dukhati rahi raat bhar.
Gaah jalti hui gaah bujhti hui,
shaam-e ghum jhilmilaati rahi raat bhar.
Koi khushbu badalti rahi pairahan,
koi tasweer gaati rahi raat bhar.
Phir saba saaya-e shaakh-e gul ke taley,
koi qissa sunaati rahi raat bhar.
Jo na aaya usey koi zanzeer-e dar,
har sadaa par bulati rahi raat bhar.
Ek umeed se dil behalta raha,
ek tammanna sataati rahi raat bhar. !!
Faiz Ahmed Faiz Two Lines Shayari – Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya
Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke…
Faiz Ahmed Faiz Urdu Ghazal Lyric – Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain
Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain
Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain
Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain
Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain
Chalo “Faiz” Phir Se Kahin Dil Lagain
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain
2 Line Shayri Faiz Ahmed Faiz – Marne ke baad bhi meri aankhain khuli rahin
Marne ke baad bhi meri aankhain khuli rahin,
Aadat jo parr gayi thi tere intizaar ki..
Ghazal By Faiz Ahmed Faiz Shayari – Dono jahan teri mohabbat main haar ke
Dono jahan teri mohabbat main haar ke,
Wo ja raha hai koi shab-e-gham guzaar ke,
Viraan hai maikada khum-o-sagar udaas hai,
Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke,
Ik fursat-e-gunah mili, wo bhi chaar din,
Dekhe hain ham ne hausale parvar-digaar ke,
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil fareb hain gham rozgaar ke,
Bhule se muskura to diye the wo aaj ‘faiz’,
Mat puch val-vale dil-e-na-kardahkaar ke..
Faiz Ahmed Faiz Shayari – Dil Na-Ummeed To Nahi, Na-Kaam Hi To Hai
Dil Na-Ummeed To Nahi, Na-Kaam Hi To Hai
Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai
Faiz Ahmed Faiz Shayari – Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia
Faiz Ahmed Faiz Sher O Shayari – Ab ke yun dil ko saza di hum ne
Ab ke yun dil ko saza di hum ne,
Uss ki har baat bhula di hum ne.
Ek ek phool bahut yaad aaya,
Shakh-e gul jab woh jala di hum ne.
Aaj tak jis pe woh sharmaate hain,
Baat woh kab ki bhula di hum ne.
Shehar-e jahan raakh se aabaad hua,
Aag jab dil ki bujha di hum ne.
Aaj phir yaad bahut aaya woh,
Aaj phir uss ko dua di hum ne.
Koi toh baat hai uss mein ‘Faiz
Har khushi jis pe luta di hum ne. !!