Famous Shayari By Kumar Vishwas – Na pane ki khushi hai kuch, na khone ka hi kuch gam hai

Na pane ki khushi hai kuch, na khone ka hi kuch gam hai,
ye daulat aur shohrat sirf kuch jakhmo ka marham hai,
ajab si kasmkash hai roj jeene me, roj marne me,
mukkamal zindagi to hai magar poori se kuch kam hai.


Dr Kumar Vishwas Ghazal – Dil Toh Karta Hai Khair Karta Hai

Dil Toh Karta Hai Khair Karta Hai,
Aapka Jikr Gair Karta Hai,

Kyo Na Main Dil Se Du Dua Usko,
Jabki Woh Mujhse Bair Karta Hai,

Aap Toh Hubhu Wohi Hain Jo,
Mere Sapno Mein Sair Karta Hai,

Ishq Kyu Aapse Yeh Dil Mera,
Mujhse Pooche Bagair Karta Hai,

Ek Jarra Duayen Maa Ki Le,
Aasmano Ki Sair Karta Hai…

– Dr. Kumar Vishvas


Dr Kumar Vishwas Ghazal – Har Sada Paigam Deti Fir Rahi Dar Dar

Har Sada Paigam Deti Fir Rahi Dar Dar,
Chupiyon Se Bhi Bada Hai Chupiyon Ka Dar,

Roj Mosham Ki Sararat Jhelta Kab Tak,
Maine Khud Mein Rach Liye Kuchh Khusnuma Manjar,

Vakt Ne Mujhse Kaha Kuchh Chahiye Toh Kah,
Main Bola Sukriya Mujhko Maaf Kar,

Main Bhi Us Mushkil Se Gujra Hu Jo Tujh Par Hai,
Raah Nikalegi Koi Tu Samna Toh Kar…

– Dr. Kumar Vishvas


1 2 3