Ghazal By Parveen Shakir – Wo to khushbu hai hawaon mein bikhar jayega

Wo to khushbu hai hawaon mein bikhar jayega
masala phul ka hai phul kidhar jayega

hum to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi ke rag-e-jan mein utar jayega

wo hawaon ke tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo aayega guzar jayega

wo jab aayega to phir us ke rafaqat ke liye
mausam-e-gul mere aangan mein thahar jayega

aakhirash wo bhi kaheen ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

Ghazal By Parveen Shakir – Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?

Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai

Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai

Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai

Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai

Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai

Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai


Ghazal By Parveen Shakir – Ab aur jeeney ki surat nazar nahin ati

Ab aur jeeney ki surat nazar nahin ati,
Kisi tarah bhi achi khabar nazar nahin ati,

Ussi ke aas main hai dil ka hujraa tareek,
Woh roshni jo kabhi mere ghar mein nahin ati,

Woh meherbaan hai to mehraab-o-baam tak na rahe,
Yeh dhoop kyon pas-ey dar o deewar nahin ati,

Hayaat mein ab koi aesa morr nahin,
Ke jis ke baad teri rahguzar nazar nahin ati,

Qabooliyat ki hai gharri to us ko maang hi loon,
Ke yeh gharri kabhi baar-e-dagar nahin ati,

Saraaye khaana dunyiyaa main shaam hoti hai,
Musaafiron ko naveed-e-safar nazar nahin ati..

Ghazal By Parveen Shakir – Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay
Shaam Ke Waqt Safar Kia Kartay

Teri Masroofiatain Jaantay Hain
Apne Aanay Ki Khabar Kia Kartay

Jab Sitaaray Hee Nahi Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-o-Qamar Kia Kartay

Wo Musaafir Hee Khuli Dhoop Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kia Kartay

Khaak Hee Awwal-o-Aakhir Thehri
Kar Ke Zarray Ko Gohar Kia Kartay

Raaye Phele Se Bana Li TU Ne
Dil Mein Ab Ham Tere Ghar Kia Kartay

Ishq Ne Saaray Saleeqay Bakhshay
Husn Se Kasb-e-Hunar Kia Kartay