Ishq me peet ke aane ke liye kafi hoon
Main nihattha hi zamane ke liye kaafi hoon
Har hakikat ko meri, khaak samjhne wale
Main teri neend udaane ke liye kaafi hoon
Ek akhbaar hoon, aukaat hi kya meri
Magar shahar me aag lagaane ke liye kaafi hoon
Ishq me peet ke aane ke liye kafi hoon
Main nihattha hi zamane ke liye kaafi hoon
Har hakikat ko meri, khaak samjhne wale
Main teri neend udaane ke liye kaafi hoon
Ek akhbaar hoon, aukaat hi kya meri
Magar shahar me aag lagaane ke liye kaafi hoon
Ye sahara jo na ho to preshaan ho jaaye
Mushkile jaan hi lele agar aasan ho jaaye
Ye kuch log fariston se bane firte hain
Mere hatthe kabhi chad jaaye ti insaan ho jaaye
Ankh pyasi hai koi manzar de
Is jazire ko bhi samandar de
Apana chehara talash karana hai
Gar nahi aina to patthar de
Band kaliyon ko chahiye shabanam
In chiragon may roshani bhar de
Pattharon ke saron se karz utar
Is sadi ko koi payambar de
Kahkahon may guzar rahi hai hayat
Ab kisi din udas bhi kar de
Phir na kahana ke khudkhushi hai gunah
Aj fursat hai faisala kar de
Cheharon ki dhup ankhon ki geharai le gaya
Aina sare shahar ki binai le gaya
Dube huye jahaz pe kya tabsara karen
Ye hadasa to soch ki geharai le gaya
Halanki bezuban tha lekin ajib tha
Jo shakhs mujh se chin ke goyai le gaya
Is waqt to main ghar se nikalane na paunga
Bas ek kamiz thi jo mera bhai le gaya
Jhute qaside likhe gaye us ki shan may
Jo motiyon se chin ke sachchai le gaya
Yadon ki ek bhir mere sath chor kar
Kya jane wo kahan meri tanhai le gaya
Ab asad tumhare liye kuch nahi raha
Galiyon ke sare sang to saudai le gaya
Ab to khud apani sansen bhi lagati hain bojh si
Umron ka dew sari tawanai le gaya
dosti jab kisi se ki jaye
dushmanon ki bhi rae li jaye
maut ka zahr hai fizaon mein
ab kahan ja k sans li jaye
bas isi soch mein hun duba hua
ye nadi kaise par ki jaye
mere mazi k zakhm bharne lage
aj phir koi bhul ki jaye
botlen khol k to pi barson
aj dil khol k bhi pi jaye
Tufaano se aankh milayon, saelabon pe war karo
Mallaho ka chakkar chodo, taer kar dariya paar karo
Phoolon ki dukaane kholo, khushbu ka vyaapar karo
Ishq khata hain, to ye khata aek baar nahi, sau baar karo
Yahi imaan likhte hai, yahi imaan padhte hai
Hume kuch aur mat padhwao, hum kuran padhte hai
Yahi ke saare manzar hai, yahi ke saare mausam hai
wo andhe hai, jo in aankho me Pakisthan padhte hai
Ye haadsaa to kisee din gujarne waalaa tha
Me bach bhi jaataa to marne waalaa tha
Mera naseeb mere haath kat gaye
Warnaa me teri maang me sindoor bharne waalaa tha
Sarhadon par tanaav he kya
Jara pata to karo chunaav hain kya
Shaharon me to baaroodo ka mausam hain
Gaonv chalo amroodon ka mausam hain
Suraj, sitaare, chaand mere saath me rahe
jab tak tumhare haath mere haath me rahe
Shaakhon se toot jaaye wo patte nahi hain hum
Aandhi se koi kah de ki aukaat me rahe