Kasti tera naseeb chamkadar kar diya
Is paar ke thapedon ne us paar kar diya
Afwah thi ki meri tabiyat khrab hai
Logo ne puch puch ke bimar kar diya
Kasti tera naseeb chamkadar kar diya
Is paar ke thapedon ne us paar kar diya
Afwah thi ki meri tabiyat khrab hai
Logo ne puch puch ke bimar kar diya
Jawaan aankhon ke jugnoo chamak rahe honge
Ab apne gaonv me amrood pak rahe honge
Bhulade mujhko magar, meri ungaliyon ke nishaan
tere badan pe abhi tak chamak rahe honge
Jawaniyon me jawani ko dhul karte hain
Jo log bhul nahi karte, bhul karte hain
Agar Anaarkali hain sabab bagaavat ka
Salim hum teri sharten kabool karte hain
Jaa ke koi kah de, sholon se chingaari se
Phool is bar khile hain badi taeyari se
Baadshaahon se bhi feke hue sikke na liye
Humne khaeraat bhi maangi hain to khuddari se
Jagne ki bhi jagane ki bhi aadat ho jaye
Kash tujh ko bhi kisi shayer se mohbbt ho jaye
Door hum kitne dinno se hain ye kabhi gaur kiya
Fir na kehna jo ayanat me khayanat ho jaye
ha aek harf ka andaaz badal rakha hain
Aaj se humne tera naam gazal rakha hain
Maine shaahon ki mohabbt ka bharm tod diya
Mere kamre me bhi aek Tajmahal rakha hain
Is duniya ne meri wafa ka kitna ooncha mol diya
Baaton ke Tezab me, mere man ka amrat ghol diya
Jab bhi koi inam mila hai, mera naam tak bhul gaye
Jab bhi koi ilzam laga hai, mujh par lakar dhol diya
Ishq ne goothe the jo gajre nukile ho gaye
Tere haathon me to ye kangan bhi dheele ho gaye
Phool bechare akele rah gaye hain shaakh par
Gaonv ki sab titaliyon ke haath peele ho gaye
Faisla jo kuch bhi ho, hume manjoor hona chahiye
Jung ho ya ishq ho, Bharpur hona chahiye
Bhoolna bhi hai, jaroori yaad rakhne ke liye
Paas rahna hai, to thoda door hona chahiye
Gulab, khwab, dwa, jahar, jaam, kya kya hain
mein aa gay hun bata intzaam kya kya hain
Fakir, shaah, kalndar, imaam, kya kya hain
Tujhe pata nahi tera gulam kya kya hain