Attaullah Khan Sher O Shayari – Chaman pe jo bhi thay nafiz usool uske t

Chaman pe jo bhi thay nafiz usool uske thay,
Tamaam kaante hamare aur phool uske thay,
Main iltejaa bhi karta to kis tarha karta,
Nagar mein faisle sabko kabool uske thay.


Attaullah Khan Shayari – na din ko sukun hai shatir na raat ko su

na din ko sukun hai shatir na raat ko sukun hai
ye kaisa hampe umar ishk ka junun hai
jo rachaye hai tune hath mehandi se
wo mehandi nahi hai mere dil ka khun hai


Attaullah Khan Sher O Shayari – Aatish-e-gam ke siva kuch bhi nahi de sa

Aatish-e-gam ke siva kuch bhi nahi de sakte,
Ashk-e-paiham ke siva kuch bhi nahi de sakte,
Tum humein bhool hi jaao mere adil ab to,
Hum tumhe gam ke siva kuch bhi nahi de sakte.


1 2 3