Best 4 Lines Sher O Shayri – Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi
Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi;
Jab Unki Nigahein Hamari Nigahon Ke Saath Hongi;
Baithe Hain Hum Uss Raat Ke Intezar Mein;
Jab Unke Hontho Kee Surkhiya Hamare Hontho Ke Saath Hongi!
Shayari, SMS, Quotes, Jokes And More….
Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi;
Jab Unki Nigahein Hamari Nigahon Ke Saath Hongi;
Baithe Hain Hum Uss Raat Ke Intezar Mein;
Jab Unke Hontho Kee Surkhiya Hamare Hontho Ke Saath Hongi!
Mujh Mein Lagta Hai Ke Mujh Se Zyaada Hai Woh;
Khud Se Barrh Kar Mujhe Rehti Hai Zaroorat Uski!
Sirf Nazdeekiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti;
Fansle Jo Dilon Mein Ho To Fir Chahat Hua Nahi Karti;
Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse;
Khamosh Rehne Se Dilon Kee Dooriyan Mita Nahi Karti!
Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye;
Jab Kisi Kee Hansi Kisi Kee Muskaan Ban Jaye;
Pyaar Hi To Kehte Hain Use;
Jab Kisi Kee Saanse Kisi Kee Jaan Ban Jaye!
Yeh Ajab Qayamaten Hain Teri Rahguzar Main Guzaari;
Na Ho Ke Mar Mittain Hum, Na Ho Ke Jee Uthain Hum!
~ Faiz Ahmad Faiz
Duniya Mein Itni Rasme Kyon Hain;
Pyaar Agar Zindagi Hai To Isme Kasme Kyon Hain;
Humein Batata Kyon Nahi Koi Ye Raaz;
Dil Agar Apna Hai To Ye Kisi Aur Ke Bas Mein Kyon Hai!
Mohabbat Ke Mayne Humse Kya Puchte Ho;
Hum In Batoon Se Anjaan Hain;
Bus Ek Gujarish Hai Ki Bhool Naa Jaana Hume;
Kyonki Tumhara Pyaar Hi Hamari Jaan Hai!
Tadapte Hain Din Raat Par Jatate Nahi;
Haal-E-Dil Koi Puche Hum Batate Nahi;
Sunkar Aapko Hogi Hairat Badi Dosto;
Hum Unhe Chahte Hain Jo Hume Chahte Nahi!
Phir Nazar Mein Phool Mehke, Dil Mein Phir Shamain Jali’N;
Phir Tassawur Ne Liya Uss Bazmm Mein Jaane Ka Naam!
~ Faiz Ahmad Faiz
Lafzon Mein Kaise Tareef Karun,
Lafzon Mein Aap Kaise Sama Paoge;
Jab Bhi Puchenge Kabhi Log Aapke Baare Mein;
Hamari Aakhein Dekh Kar Wo Sab Jaan Jayenge!