Shayari For Bewafa Girlfriend – Barbaad Kar Gaye Wo Zindagi
Barbaad Kar Gaye Wo Zindagi Pyaar Ke Naam Se;
Bewafai Hi Mili Sirf Wafa Ke Naam Se;
Zakham Hi Zakham Diye Us Ne Dawa Ke Naam Se;
Aasman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se!
Shayari, SMS, Quotes, Jokes And More….
Barbaad Kar Gaye Wo Zindagi Pyaar Ke Naam Se;
Bewafai Hi Mili Sirf Wafa Ke Naam Se;
Zakham Hi Zakham Diye Us Ne Dawa Ke Naam Se;
Aasman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se!
Bichar Kar Tujh Se Zinda Hun Meri Taqdeer To Dekh
Kabhi Aa Kar Mere Halaat ki Tasveer To Dekh
Mujhe Mehfil Main Dekha To Kaha Us ne Raqeebon Se
Mera Aashiq, Mera Pagal, Mera Dilgeer To Dekh
Teri Tasveer k Peechy Hain Jaalay Be-Wafai K
Ulat Kar Tu Zara Apni Kabhi Tasveer To Dekho
De Kar Pyar Ki Daulat Khareedy Khoon k Aansoo
Mili Jo Ishq Main Hum Ko Zara Jageer To Dekho
Likha Hai Naam Mera Sharaarat Hai Raqeebon Ki
Ye Khatt Mera Nahi Jaana Zara Tehreer To Dekh…
Maangi Hai Dua Isi Ilteja K Saath
Kat Jaye meri Umr Usi Bewafa K Sath
Mana Ke Majburi Thi, Fasla Bahut Tha
Bahut Doori Thi,
Kabhi Sochta Hun Bewafa Hain Wo,
Kabhi Sochta Hun Meri Lakeeren Hi
Adhoori Thi…
Muddat Se Jis K Wastey Dil Beqarar Tha
Wo Lout Kar Na Aaya Magar Intezar Tha
Jo Humsafar Tha Chor Gaya Raah Me Mujhe
Main Phas Gaya Bhanwar Me Or Wo Darya K Paar Tha…
Manzil Qareeb Aayi To Tum Door Ho Gaye
Itna To Tum Batao K Ye Kaisa Pyar Tha…
Ye Baat Umer Bhar Samajh Na Paya Main
Q Dil Mera Us Bewafa Ka Talabgaar Tha.
Mat Puch Sabar Kee Inteha Kahan Tak Hai;
Tu Sitam Kar Le Teri Taqat Jahan Tak Hai;
Wafa Kee Umeed Kisi Aur Ko Hogi;
Humein To Dekhna Hai Tu Bewafa Kahan Tak Hai!
Roz Dhalti Hui Shaam Se Dar Lagta Hai;
Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Dar Lagta Hai;
Jab Se Mili Hai Bewafai Mujhe Ishq Mein;
Tab Se Ishq Ke Naam Se Bhi Dar Lagta Hai!
Rubaro Unke HARF-E-GILA Kya Karte
Dard To Humko Chupana Tha Sada Kya Karte
Bewafai Bhi Wafa Ki Tarah Ki Usne
Aise Insan Se Karte To Gila Kya Karte
Sikha di Bewafayi Bhi Tumhen Zaalim Zamanay ne ….
K Tum jo Seekh letay ho , Hum Hi pe Aazmatey ho ….
Teri bewafai ka kissa jab jab yaad aayega,
Mere tan badan mein ek aag si bharkayega,
Jo tune kiya koi dushman bhi nahi aisa karta,
Dekh lena ek din tu bhi bohat pachtaayega.