4 Lines Hindi Shayari – Kisi Ko Apna Banane Mein Der Lagti Hai
Kisi Ko Apna Banane Mein Der Lagti Hai;
Kya Hua Vaada Nibhane Mein Der Lagti Hai;
Pyaar To Pal Bhar Mein Ho Jata Hai;
Par Unhein Bhulane Mein Saari Umar Bhi Kam Pad Jati Hai!
Shayari, SMS, Quotes, Jokes And More….
Kisi Ko Apna Banane Mein Der Lagti Hai;
Kya Hua Vaada Nibhane Mein Der Lagti Hai;
Pyaar To Pal Bhar Mein Ho Jata Hai;
Par Unhein Bhulane Mein Saari Umar Bhi Kam Pad Jati Hai!
Mujhe In Patharo Ka Dar Na Hota;
Agar Sheeshe Ka Mera Ghar Na Hota;
Yakeenan Hum Bhi Khelte Ishq Ki Bazi;
Agar Dil Tootne Ka Dar Na Hota!
Uski Aankhon Mein Koi Dard Basa Hai Shayad;
Ya Mujhe Khud Hi Veham Sa Hua Hai Shayad;
Maine Pucha Ki Bhool Gaye Ho Kya Tum Bhi;
Ponch Kar Aansu Usne Bhi Keh Diya, Haan Shayad!
Woh jo aate the ankhon mein chand sitarey ley kar
Janey kis dais gaye khawab hamarey ley kar
Kitnay he door chaley jayen woh hum se lakin
Waqt aaiyga unhein paas hamare ley kar ..
Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqshe Mazi Mite Mite Se;
Wo Aazmaish Dil O Nazar Kee, Wo Kurbatein Si, Wo Fansle Se;
Kabhi Kabhi Aarzoo Ke Sehra Mein Aake Rukte Hain Kafile Se;
Wo Sari Baatein Lagav Kee Si, Wo Sare Unvaan Visal Ke Se!
~ Faiz Ahmad Faiz
Kuch Cheezein Hum Purani Chhod Aaye;
Aate Aate Uski Aankhon Mein Paani Chhod Aaye;
Ye Aisa Dard Hai Jo Bayaan Ho Hi Nahi Sakta;
Dil To Saath Le Aaye Lekin Dhadkan Wahin Chhod Aaye!
Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main;
Aaj Kyu Bewajah Rone Laga Hun Main;
Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri;
Phir Aaj Kyu Lagaa Sab Khone Laga Hun Main!
Surat Hamari Dekh Li Lekin Dil Hamara Dekh Na Sake;
Khushi Hamari Dekh Li Lekin Dukh Hamare Dekh Na Sake;
Pyaar Hum Se Kar Liya Aur Fikar Hamari Kar Na Sake;
Hansi Hamari Dekh Li Magar Aansu Hamare Dekh Na Sake!
Un Galiyon Se Jab Guzre To Manjar Ajeeb Tha;
Dard Tha Magar Wo Dil Ke Kareeb Tha;
Jise Hum Dhundte The Apni Haathon Kee Lakiron Mein;
Wo Kisi Dusre Kee Kismat, Kisi Aur Ka Naseeb Tha!
Zikar Us Parivash Ka Aur Bayaan Apna;
Ban Geya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna;
Mai Woh Kyon Bahut Peete Bazm-E-Ghair Mein Ya Rab;
Aaj Hi Hua Manzoor Unko Imtihaan Apna!
~ Mirza Ghalib