Parveen Shakir 2 Lines Shayari – Ghar ka darwaaza khulaa rakha hai
Ghar ka darwaaza khulaa rakha hai,
Waqt mil jaye to zehmat karnaa..
Shayari, SMS, Quotes, Jokes And More….
Ghar ka darwaaza khulaa rakha hai,
Waqt mil jaye to zehmat karnaa..
Bas tere rawai’yon ka sabab dhoondte rehna,
Yeh silsila ab aur to chalne ka nahin..
Tera pehlu, tere dil ki tarah abaad rahe,
Tujh pe guzrey na qayamat shab-e-tanhai ki..
Kon chahey ga tumhe meri tarah,
Ab kisi se na mohabbat karna..
Woh to khushbuu hai hawaaon mein bikhar jaye ga,
Masla phool ka hai, phool kidar jaaye ga..
Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin,
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaon gi..
Mere lafzon se nikal jaye assar,
Koi khawhish jo tere baad karoon.
Iss baar jo eendhan ke liye katt ke gira hai,
Chirriyon ko barra pyaar tha uss boorrhe shajar se..
Humain khabar hai, Hawaa ka mizaaj rakhte ho,
Magar yeh kya, ke zara dair ko rukey bhi nahin..
Main sach kahun gi magar phir bhi haar jaun gi,
Woh jhoot bole ga aur la’jawab kar de ga..