Rahat Indori Shayri – Kabhi mahak ki tarah hum gulon se udate hain
Kabhi mahak ki tarah hum gulon se udate hain
kabhi dhuyen ki tarah parvaton se udate hain
Ye kechiya hume udne se khaak rokengi
Ki hum paron se nahi housalon se udate hain
Shayari, SMS, Quotes, Jokes And More….
Kabhi mahak ki tarah hum gulon se udate hain
kabhi dhuyen ki tarah parvaton se udate hain
Ye kechiya hume udne se khaak rokengi
Ki hum paron se nahi housalon se udate hain
dosti jab kisi se ki jaye
dushmanon ki bhi rae li jaye
maut ka zahr hai fizaon mein
ab kahan ja k sans li jaye
bas isi soch mein hun duba hua
ye nadi kaise par ki jaye
mere mazi k zakhm bharne lage
aj phir koi bhul ki jaye
botlen khol k to pi barson
aj dil khol k bhi pi jaye
Maine cheda to kis andaj se kaha,
Kuch sunoge meri jban se aaj.
Ye haadsaa to kisee din gujarne waalaa tha
Me bach bhi jaataa to marne waalaa tha
Mera naseeb mere haath kat gaye
Warnaa me teri maang me sindoor bharne waalaa tha
Suraj, sitaare, chaand mere saath me rahe
jab tak tumhare haath mere haath me rahe
Shaakhon se toot jaaye wo patte nahi hain hum
Aandhi se koi kah de ki aukaat me rahe
Jawaniyon me jawani ko dhul karte hain
Jo log bhul nahi karte, bhul karte hain
Agar Anaarkali hain sabab bagaavat ka
Salim hum teri sharten kabool karte hain
Jaban dil ki haqiqat ko kya bayan karti,
Kisi ka haal kisi se kaha nahi jata.
Kasti tera naseeb chamkadar kar diya
Is paar ke thapedon ne us paar kar diya
Afwah thi ki meri tabiyat khrab hai
Logo ne puch puch ke bimar kar diya
Aankhon mein paani rakho, hothon pe chingaari rakho
Jinda rahna hai to tarkibe bahut saari rakho
Raha ke patthar se badh ke kuch nahi hain manjilen
Raaste aawaz dete hain safar jaari rakho
Intezamat naye sire se sambhale jayen
Jitane kamzarf hain mehafil se nikale jayen
Mera ghar ag ki lapaton may chupa hia lekin
Jab maza hai tere angan may ujale jayen
Gam salamat hai to pite hi rahenge lekin
Pehale maikhane ki halat sambhale jayen
Khali waqton may kahin baith ke rolen yaro
Fursaten hain to samandar hi khangale jayen
Khak may yun na mila zabt ki tauhin na kar
Ye wo ansun hain jo duniya ko baha le jayen
Ham bhi pyase hain ye ehasas to ho saqi ko
Khali shishe hi hawaon may uchale jayen
Ao shahr may naye dost banayen quot;rahat quot;
Astinon may chalo sanp hi pale jayen