Ishq Shayari In 4 Lines – Sirf Nazdeekiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti

Sirf Nazdeekiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti;
Fansle Jo Dilon Mein Ho To Fir Chahat Hua Nahi Karti;
Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse;
Khamosh Rehne Se Dilon Kee Dooriyan Mita Nahi Karti!


Hindi Shayari In 4 Lines – Duniya Mein Itni Rasme Kyon Hain

Duniya Mein Itni Rasme Kyon Hain;
Pyaar Agar Zindagi Hai To Isme Kasme Kyon Hain;
Humein Batata Kyon Nahi Koi Ye Raaz;
Dil Agar Apna Hai To Ye Kisi Aur Ke Bas Mein Kyon Hai!


Sher O Shayri In 2 Lines – Phir Nazar Mein Phool Mehke, Dil Mein Phir Shamain

Phir Nazar Mein Phool Mehke, Dil Mein Phir Shamain Jali’N;
Phir Tassawur Ne Liya Uss Bazmm Mein Jaane Ka Naam!
~ Faiz Ahmad Faiz


1 2 3 40